Sunday, September 04, 2005

Female Beauty....
many words, poems, songs have been written about it...
but I dont think anything has ever done justice to it, the way Nusrat Fateh Ali Khan's work has in this song of his...
That is what moves me about poetry… something so simple… like someone’s eyes perhaps… can be described in so many ways using the simplest of words to create an effect that is so enormously profound...
lol, the romantic that I am, this song, I believe, is what love is all about… loving someone so perfectly that she seems almost ethereal…

Anyway here is the song…

Afreen afreen

Husn e jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
To bhi dekhey agar
To kahe hum nasheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jana ki tareef mumkin nahi
Husn e jana ki tareef mumkin nahi

Aisa dekha nahi khoobsurat koyi
Jism jaisey ajanta ki murat koyi
Jism jaisey nigahon ka jadoo koyi
Jism naghma koyi, jism khusboo koi
Jism jaisey machalti huwi raagni
Jism jaisey mehakti huwi chandni
Jism jaisey k khilta hua ek chaman
Jism jaisey k suraj ki pehli kiran
Jism tarshaah hua dilkasho dilnasheen
Sandaleen sandaleen mar mareen
Sandaleen sandaleen mar mareen

Ankhein dekhii to mey dekhta reh gaya
Jaam do aur dono hi do atisha
Ankhein ya makaidey k woh do baab hain
Ankhein un ko kahoon ya kahoon khawab hai
Ankhein neechi huwi to haya ban gayii
Ankhein unchi huwi to duaa ban gayii
Ankhein uth kar jhuki to adaa ban gayii
Ankhein jhukh key uthi to qazza ban gayii
Ankhein jin mey hai qaid asmano zameen
Nargasii nargassi surmagii surmagii
Nargasii nargasii surmagii surmagii

Husn e jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
To bhi dekhey agar
To kahey hum nasheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jana ki tareef mumkin nahi
Husn e jana ki tareef mumkin nahi

2 comments:

Baraka said...

Great photo!

أبو سنان said...

I have gotten into Iqbal's material based on my love for Goethe.